Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan

lafz ka bas hai talluq mere tere darmiyan

lafz ke mani pe qaem sare rishton ka nishan

pahle chup ki guftugu us ki samajh mein aati thi

bhul baiThi hai kahi aur an-kahi donon zaban

lafz KHud hum ne gaDhe izhaar-e-ulfat ke liye

wasl ki takmil hai mamnun-e-tashkil-e-lisan

ho na gar ulfat to nafrat ho zaruri to nahin

ye bhi ho sakta hai wo ho be-niyaz-e-ashiqan

lab-kusha hon ya ki chup hon dekh kar us ki taraf

hai 'fahim' apne qabile ka samajhta hai ziyan

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan In English By Famous Poet Faheem Aazmi. Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan is written by Faheem Aazmi. Read famous Poem Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan for youth and Student by Faheem Aazmi. Free Download Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan in PDF.