Dil-e-tabah Ko Ab Tak Nahin Yaqin Aaya

dil-e-tabah ko ab tak nahin yaqin aaya

ki sham bit gai aur tu nahin aaya

jahan se main ne kiya tha kabhi safar aaghaz

main KHak dhul hua lauT kar wahin aaya

wo jis ke hath se taqrib-e-dil-numai thi

abhi wo lamha-e-maujud mein nahin aaya

bas ek bar meri nind chhu gaya koi

phir is ke baad har ek KHwab-e-dil-nashin aaya

bichhaD ke tujh se teri yaad bhi nahin aai

makan ki samt palaT kar makin nahin aaya

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-tabah Ko Ab Tak Nahin Yaqin Aaya In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Dil-e-tabah Ko Ab Tak Nahin Yaqin Aaya is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Dil-e-tabah Ko Ab Tak Nahin Yaqin Aaya for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Dil-e-tabah Ko Ab Tak Nahin Yaqin Aaya in PDF.