Koi Milta Nahin KHuda Ki Tarah

koi milta nahin KHuda ki tarah

phirta rahta hun main dua ki tarah

gham taaqub mein hain saza ki tarah

tu chhupa le mujhe KHata ki tarah

hai marizon mein tazkira mera

aazmai hui dawa ki tarah

ho rahin hain shahadaten mujh mein

aur main chup hun karbala ki tarah

jis ki KHatir charagh banta hun

ghurta hai wahi hawa ki tarah

waqt ke gumbadon mein rahta hun

ek gunji hui sada ki tarah

(2502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Milta Nahin KHuda Ki Tarah In English By Famous Poet Fahmi Badayuni. Koi Milta Nahin KHuda Ki Tarah is written by Fahmi Badayuni. Read famous Poem Koi Milta Nahin KHuda Ki Tarah for youth and Student by Fahmi Badayuni. Free Download Koi Milta Nahin KHuda Ki Tarah in PDF.