Aalam-e-barzaKH

ye to barzaKH hai yahan waqt ki ijad kahan

ek baras tha ki mahina hamein ab yaad kahan

wahi tapta hua gardun wahi angara zamin

ja-ba-ja tishna o aashufta wahi KHak-nashin

shab-garan zist-garan-tar hi to kar jati thi

sud-KHoron ki tarah dar pe sahar aati thi

zist karne ki mashaqqat hi hamein kya kam thi

mustazad us pe pirohit ka junun-e-taza

sab ko mil jae gunahon ka yahin KHamyaza

na-rawa-dar fazaon ki jhulasti hui lu!

mohtasib kitne nikal aae gharon se har su

taDte hain kisi chehre pe tarawat to nahin

koi lab nam to nahin bashre pe farhat to nahin

kucha kucha mein nikale hue KHuni dide

gurz uThae hue dhamkate phira karte hain

nau-e-adam se bahar-taur riya ke talib

ruh be-zar hai kyun chhoD na jae qalib

zindagi apni isi taur jo guzri 'ghaalib'

hum bhi kya yaad karenge ki KHuda rakhte the

(1404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam-e-barzaKH In English By Famous Poet Fahmida Riaz. Aalam-e-barzaKH is written by Fahmida Riaz. Read famous Poem Aalam-e-barzaKH for youth and Student by Fahmida Riaz. Free Download Aalam-e-barzaKH in PDF.