Chadar Aur Chaar-diwari

huzur main is siyah chadar ka kya karungi

ye aap kyun mujh ko baKHshte hain ba-sad inayat

na sog mein hun ki us ko oDhun

gham-o-alam KHalq ko dikhaun

na rog hun main ki is ki tarikiyon mein KHiffat se Dub jaun

na main gunahgar hun na mujrim

ki is syahi ki mehr apni jabin pe har haal mein lagaun

agar na gustaKH mujh ko samjhen

agar main jaan ki aman paun

to dast-basta karun guzarish

ki banda-parwar

huzur ke hujra-e-mattar mein ek lasha paDa hua hai

na jaane kab ka gala saDa hai

ye aap se rahm chahta hai

huzur itna karam to kije

siyah chadar mujhe na dijiye

siyah chadar se apne hujre ki be-kafan lash Dhanp dijiye

ki us se phuTi hai jo ufunat

wo kuche kuche mein hanpti hai

wo sar paTakti hai chaukhaTon par

barahnagi tan ki Dhanpti hai

sunen zara dil-KHarash chiKHen

bana rahi hain ajab hayule

jo chadaron mein bhi hain barahna

ye kaun hain jaante to honge

huzur pahchante to honge

ye launDiyan hain

ki yarghamali halal shab-bhar rahe hain

dam-e-subh dar-ba-dar hain

huzur ke nutfe ko mubarak ke nisf wirsa se be-mo'atabar hain

ye bibayan hain

ki zaujagi ka KHiraj dene

qatar-andar-qatar bari ki muntazir hain

ye bachchiyan hain

ki jin ke sar par phira jo hazrat ka dast-e-shafqat

to kam-sini ke lahu se rish-e-saped rangin ho gai hai

huzur ke hajla-e-moattar mein zindagi KHun ro gai hai

paDa hua hai jahan ye lasha

tawil sadiyon se qatl-e-insaniyat ka ye KHun-chakan tamasha

ab is tamasha ko KHatm kije

huzur ab is ko Dhanp dijiye

siyah chadar to ban chuki hai meri nahin aap ki zarurat

ki is zamin par wajud mera nahin faqat ek nishan-e-shahwat

hayat ki shah-rah par jagmaga rahi hai meri zehanat

zamin ke ruKH par jo hai pasina to jhilmilati hai meri mehnat

ye chaar-diwariyan ye chadar gali saDi lash ko mubarak

khuli fazaon mein baadban khol kar baDhega mera safina

main aadam-e-nau ki ham-safar hun

ki jis ne jiti meri bharosa-bhari rifaqat

(1595) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chadar Aur Chaar-diwari In English By Famous Poet Fahmida Riaz. Chadar Aur Chaar-diwari is written by Fahmida Riaz. Read famous Poem Chadar Aur Chaar-diwari for youth and Student by Fahmida Riaz. Free Download Chadar Aur Chaar-diwari in PDF.