Is Gali Ke MoD Par

is gali ke moD par ek aziz dost ne

mere ashk ponchh kar

aaj mujh se ye kaha

yun na dil jalao tum

luT mar ka hai raj

jal raha hai kul samaj

ye fuzul ragni

mujh ko mat sunao tum

burzhwa samaj hai

luT mar choriyan is ka wasf-e-KHas hai

is ko mat bhulao tum

inqalab aaega

us se lau lagao tum

ho sake to aaj kal mal kuchh banao tum

khai se nikalne ki aarzu se pesh-tar

dekh lo zara jo hai dusri taraf hai gaDha hai

aaj hain jo hukmaran un se baDh ke KHaufnak un ke sab raqib hain

dandana rahe hain jo le ke hath mein chhura

shukr ka maqam hai

meri masKH lash aap ko kahin mili nahin

ek gali ke moD par

main ne puchha waqai

sun ke muskura diya kitni der ho gai

lijiye main ab chala us ke baad ab kya hua

khaDkhaDain haDDiyan

us gali ke moD se wo kahin chala gaya

(1338) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Gali Ke MoD Par In English By Famous Poet Fahmida Riaz. Is Gali Ke MoD Par is written by Fahmida Riaz. Read famous Poem Is Gali Ke MoD Par for youth and Student by Fahmida Riaz. Free Download Is Gali Ke MoD Par in PDF.