In Logon Mein Rahne Se Hum Beghar Achchhe The

in logon mein rahne se hum beghar achchhe the

kuchh din pahle tak to sab ke tewar achchhe the

dekh raha hai jis hairat se pagal kar dega

aaine se Dar lagta hai patthar achchhe the

nadida aazar badan ko ghaarat kar dega

zaKHm jo dil mein ja utre hain bahar achchhe the

raat sitaron wali thi aur dhup bhara tha din

jab tak aankhen dekh rahi thin manzar achchhe the

aaKHir kyun ehsan kiya hai zinda rakhne ka

hum jo mar jate to banda-parwar achchhe the

aankhen bhar aai hain 'faisal' Dub gae hain log

in mein kuchh zalim the lekin aksar achchhe the

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Logon Mein Rahne Se Hum Beghar Achchhe The In English By Famous Poet Faisal Ajmi. In Logon Mein Rahne Se Hum Beghar Achchhe The is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem In Logon Mein Rahne Se Hum Beghar Achchhe The for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download In Logon Mein Rahne Se Hum Beghar Achchhe The in PDF.