Teri Aankhen Na Rahin Aaina-KHana Mere Dost

teri aankhen na rahin aaina-KHana mere dost

kitni tezi se badalta hai zamana mere dost

jaane kis kaam mein masruf raha barson tak

yaad aaya hi nahin tujh ko bhulana mere dost

puchhna mat ki ye kya haal bana rakkha hai

aaina ban ke mera dil na dukhana mere dost

is mulaqat mein jo ghair-zaruri ho jae

yaad rahta hai kise hath milana mere dost

dekhna mujh ko magar meri pazirai ko

apni aankhon mein sitare na sajaana mere dost

ab wo titli hai na wo umr taaqub wali

main na kahta tha bahut dur na jaana mare dost

hijr taqdir mein likkha tha ki majburi thi

chhoD is baat se kya milna milana mere dost

tu ne ehsan kiya apna bana kar mujh ko

warna main kya tha haqiqat na fasana mere dost

is kahani mein kise kaun kahan chhoD gaya

yaad aa jae to mujh ko bhi batana mere dost

chhoD aaya hun hawaon ki nigahbani mein

wo samundar wo jazira wo KHazana mere dost

aise raston pe jo aapas mein kahin milte hon

kyun na us moD se ho jaen rawana mere dost

(1006) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Aankhen Na Rahin Aaina-KHana Mere Dost In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Teri Aankhen Na Rahin Aaina-KHana Mere Dost is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Teri Aankhen Na Rahin Aaina-KHana Mere Dost for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Teri Aankhen Na Rahin Aaina-KHana Mere Dost in PDF.