Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-e-hairani Mein

us ne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

gir paDa hath se aaina pareshani mein

aa gae ho to barabar hi mein KHema kar lo

main to rahta hun isi be-sar-o-samani mein

is qadar ghaur se mat dekh bhanwar ki jaanib

tu bhi chakra ke na gir jae kahin pani mein

kabhi dekha hi nahin is ne pareshan mujh ko

main ki rahta hun sada apni nigahbani mein

wo mera dost tha dushman to nahin tha 'faisal'

main ne har baat bata di use nadani mein

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-e-hairani Mein In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-e-hairani Mein is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-e-hairani Mein for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-e-hairani Mein in PDF.