Un Labon Ki Yaad Aai Gul Ke Muskurane Se

un labon ki yaad aai gul ke muskurane se

zaKHm-e-dil ubhar aae phir bahaar aane se

jaane thi gurez un ko ya ki sharm mahfil mein

raat mujh se katrae wo nazar milane se

raaz jo chhupae the aaj sab pe zahir hain

kuchh meri kahani se kuchh tere fasane se

haal jo hamara hai sab to un pe raushan hai

phir bataun kya hoga haal-e-dil sunane se

un ko hum se kya matlab hum ko kya gharaz 'fayyaz'

tark ishq kar baiThe hum to ek zamane se

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Labon Ki Yaad Aai Gul Ke Muskurane Se In English By Famous Poet Faiyaz Ahmad. Un Labon Ki Yaad Aai Gul Ke Muskurane Se is written by Faiyaz Ahmad. Read famous Poem Un Labon Ki Yaad Aai Gul Ke Muskurane Se for youth and Student by Faiyaz Ahmad. Free Download Un Labon Ki Yaad Aai Gul Ke Muskurane Se in PDF.