Jahan Mein KHud Ko Banane Mein Der Lagti Hai

jahan mein KHud ko banane mein der lagti hai

kisi maqam pe aane mein der lagti hai

uruj-e-waqt pe jaane mein der lagti hai

har ek ilm ko pane mein der lagti hai

phir un ke pas bhi jaane mein der lagti hai

hamesha un ko manane mein der lagti hai

hamare shahr mohalle gali ka ab mahaul

bigaD gaya to banane mein der lagti hai

ana ki soch ko ya phir ana ke honTon ko

ghamon ka haal batane mein der lagti hai

hai husn walon ka andaz ye zamane mein

hai ishq phir bhi jatane mein der lagti hai

ye baat aaegi tum ko samajh mein kab 'fayyaz'

bulandi milne mein pane mein der lagti hai

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Mein KHud Ko Banane Mein Der Lagti Hai In English By Famous Poet Faiyyaz Rash. Jahan Mein KHud Ko Banane Mein Der Lagti Hai is written by Faiyyaz Rash. Read famous Poem Jahan Mein KHud Ko Banane Mein Der Lagti Hai for youth and Student by Faiyyaz Rash. Free Download Jahan Mein KHud Ko Banane Mein Der Lagti Hai in PDF.