Usi Se Fikr-o-fan Ko Har GhaDi Mansub Rakhte Hain

usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain

ghazal wale ghazal ko surat-e-mahbub rakhte hain

zaban ki chashni se tar-ba-tar ghazlon ko paDhta hun

ye ruhani ghiza hai hum jise marghub rakhte hain

ghazal tahzib hai meri ghazal mera tamaddun hai

buzurgon ne jo rakkha tha wahi uslub rakhte hain

sunate hain tahat mein jab ghazal andaz mein apne

pukar uThti hai duniya zauq hum kya KHub rakhte hain

ghazal bas is liye phaila rahi hai apne daman ko

ki hum ghazlon ke tewar ko bahut hi KHub rakhte hain

jinhen ghazlon se uljhan hai miyan 'fayyaz' kya bolen

nazakat se ghazal ki hum unhen marub rakhte hain

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Se Fikr-o-fan Ko Har GhaDi Mansub Rakhte Hain In English By Famous Poet Faiyyaz Rash. Usi Se Fikr-o-fan Ko Har GhaDi Mansub Rakhte Hain is written by Faiyyaz Rash. Read famous Poem Usi Se Fikr-o-fan Ko Har GhaDi Mansub Rakhte Hain for youth and Student by Faiyyaz Rash. Free Download Usi Se Fikr-o-fan Ko Har GhaDi Mansub Rakhte Hain in PDF.