Aaj Yun Mauj-dar-mauj Gham Tham Gaya Is Tarah Gham-zadon Ko Qarar Aa Gaya

aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya

jaise KHush-bu-e-zulf-e-bahaar aa gai jaise paigham-e-didar-e-yar aa gaya

jis ki did-o-talab wahm samjhe the hum ru-ba-ru phir sar-e-rahguzar aa gaya

subh-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tera e'tibar aa gaya

rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin

zaKHm chhalka koi ya koi gul khila ashk umDe ki abr-e-bahaar aa gaya

KHun-e-ushshaq se jam bharne lage dil sulagne lage dagh jalne lage

mahfil-e-dard phir rang par aa gai phir shab-e-arzu par nikhaar aa gaya

sarfaroshi ke andaz badle gae dawat-e-qatl par maqtal-e-shahr mein

Dal kar koi gardan mein tauq aa gaya lad kar koi kandhe pe dar aa gaya

'faiz' kya jaaniye yar kis aas par muntazir hain ki laega koi KHabar

mai-kashon par hua mohtasib mehrban dil-figaron pe qatil ko pyar aa gaya

(3922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Yun Mauj-dar-mauj Gham Tham Gaya Is Tarah Gham-zadon Ko Qarar Aa Gaya In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Aaj Yun Mauj-dar-mauj Gham Tham Gaya Is Tarah Gham-zadon Ko Qarar Aa Gaya is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Aaj Yun Mauj-dar-mauj Gham Tham Gaya Is Tarah Gham-zadon Ko Qarar Aa Gaya for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Aaj Yun Mauj-dar-mauj Gham Tham Gaya Is Tarah Gham-zadon Ko Qarar Aa Gaya in PDF.