Ab Ke Baras Dastur-e-sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue

ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue

jo qatil the maqtul hue jo said the ab sayyaad hue

pahle bhi KHizan mein bagh ujDe par yun nahin jaise ab ke baras

sare buTe patta patta rawish rawish barbaad hue

pahle bhi tawaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki

hum tum se pahle bhi yahan 'mansur' hue 'farhad' hue

ek gul ke murjhane par kya gulshan mein kohram macha

ek chehra kumhla jaane se kitne dil nashad hue

'faiz' na hum 'yusuf' na koi 'yaqub' jo hum ko yaad kare

apni kya kanan mein rahe ya misr mein ja aabaad hue

(2674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Baras Dastur-e-sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ab Ke Baras Dastur-e-sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ab Ke Baras Dastur-e-sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ab Ke Baras Dastur-e-sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue in PDF.