Darbar Mein Ab Satwat-e-shahi Ki Alamat

darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

darban ka asa hai ki musannif ka qalam hai

aawara hai phir koh-e-nida par jo bashaarat

tamhid-e-masarrat hai ki tul-e-shab-e-gham hai

jis dhajji ko galiyon mein liye phirte hain tiflan

ye mera gareban hai ki lashkar ka alam hai

jis nur se hai shahr ki diwar daraKHshan

ye KHun-e-shahidan hai ki zar-KHana-e-jam hai

halqa kiye baiThe raho ek shama ko yaro

kuchh raushni baqi to hai har-chand ki kam hai

(2878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darbar Mein Ab Satwat-e-shahi Ki Alamat In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Darbar Mein Ab Satwat-e-shahi Ki Alamat is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Darbar Mein Ab Satwat-e-shahi Ki Alamat for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Darbar Mein Ab Satwat-e-shahi Ki Alamat in PDF.