Kuchh Mohtasibon Ki KHalwat Mein Kuchh Waiz Ke Ghar Jati Hai

kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai

hum baada-kashon ke hisse ki ab jam mein kam-tar jati hai

yun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil pani hote hain

tum lakh raza ki KHu Dalo kab KHu-e-sitamgar jati hai

bedad-garon ki basti hai yan dad kahan KHairaat kahan

sar phoDti phirti hai nadan fariyaad jo dar dar jati hai

han jaan ke ziyan ki hum ko bhi tashwish hai lekin kya kije

har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai

ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane

pahre se adu Talte hi nahin aur raat barabar jati hai

hum ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-watan

yaadon se moattar aati hai ashkon se munawwar jati hai

(2561) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Mohtasibon Ki KHalwat Mein Kuchh Waiz Ke Ghar Jati Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kuchh Mohtasibon Ki KHalwat Mein Kuchh Waiz Ke Ghar Jati Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kuchh Mohtasibon Ki KHalwat Mein Kuchh Waiz Ke Ghar Jati Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kuchh Mohtasibon Ki KHalwat Mein Kuchh Waiz Ke Ghar Jati Hai in PDF.