Phir Aaina-e-alam Shayad Ki Nikhar Jae

phir aaina-e-alam shayad ki nikhar jae

phir apni nazar shayad ta-hadd-e-nazar jae

sahra pe lage pahre aur qufl paDe ban par

ab shahr-badar ho kar diwana kidhar jae

KHak-e-rah-e-jaanan par kuchh KHun tha girau apna

is fasl mein mumkin hai ye qarz utar jae

dekh aaen chalo hum bhi jis bazm mein sunte hain

jo KHanda-ba-lab aae wo KHak-basar jae

ya KHauf se dar-guzren ya jaan se guzar jaen

marna hai ki jina hai ek baat Thahar jae

(2534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Aaina-e-alam Shayad Ki Nikhar Jae In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Phir Aaina-e-alam Shayad Ki Nikhar Jae is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Phir Aaina-e-alam Shayad Ki Nikhar Jae for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Phir Aaina-e-alam Shayad Ki Nikhar Jae in PDF.