Qarz-e-nigah-e-yar Ada Kar Chuke Hain Hum

qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain hum

sab kuchh nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hain hum

kuchh imtihan-e-dast-e-jafa kar chuke hain hum

kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain hum

ab ehtiyat ki koi surat nahin rahi

qatil se rasm-o-rah siwa kar chuke hain hum

dekhen hai kaun kaun zarurat nahin rahi

ku-e-sitam mein sab ko KHafa kar chuke hain hum

ab apna iKHtiyar hai chahe jahan chalen

rahbar se apni rah juda kar chuke hain hum

un ki nazar mein kya karen phika hai ab bhi rang

jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain hum

kuchh apne dil ki KHu ka bhi shukrana chahiye

sau bar un ki KHu ka gila kar chuke hain hum

(2915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarz-e-nigah-e-yar Ada Kar Chuke Hain Hum In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Qarz-e-nigah-e-yar Ada Kar Chuke Hain Hum is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Qarz-e-nigah-e-yar Ada Kar Chuke Hain Hum for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Qarz-e-nigah-e-yar Ada Kar Chuke Hain Hum in PDF.