Sabhi Kuchh Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahaten Sabhi Kulfaten

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten

kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten

ye suKHan jo hum ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke

koi lamha subh-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten

jo tumhaari man len naseha to rahega daman-e-dil mein kya

na kisi adu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten

chalo aao tum ko dikhaen hum jo bacha hai maqtal-e-shahr mein

ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten

meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-waqt ne

kisi apne kal mein bhi bhul kar kahin likh rakhi hon masarraten

(2825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi Kuchh Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahaten Sabhi Kulfaten In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Sabhi Kuchh Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahaten Sabhi Kulfaten is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Sabhi Kuchh Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahaten Sabhi Kulfaten for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Sabhi Kuchh Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahaten Sabhi Kulfaten in PDF.