Yun Saja Chand Ki Jhalka Tere Andaz Ka Rang

yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang

yun faza mahki ki badla mere hamraaz ka rang

saya-e-chashm mein hairan ruKH-e-raushan ka jamal

surKHi-e-lab mein pareshan teri aawaz ka rang

be-piye hun ki agar lutf karo aaKHir-e-shab

shisha-e-mai mein Dhale subh ke aaghaz ka rang

chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se

dil ne lai badli to maddham hua har saz ka rang

ek suKHan aur ki phir rang-e-takallum tera

harf-e-sada ko inayat kare eajaz ka rang

(3126) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Saja Chand Ki Jhalka Tere Andaz Ka Rang In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Yun Saja Chand Ki Jhalka Tere Andaz Ka Rang is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Yun Saja Chand Ki Jhalka Tere Andaz Ka Rang for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Yun Saja Chand Ki Jhalka Tere Andaz Ka Rang in PDF.