Aaj Ek Harf Ko Phir DhunDta Phirta Hai KHayal

aaj ek harf ko phir DhunDta phirta hai KHayal

madh bhara harf koi zahr bhara harf koi

dil-nashin harf koi qahr bhara harf koi

harf-e-ulfat koi dildar-e-nazar ho jaise

jis se milti hai nazar bosa-e-lab ki surat

itna raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaise

sohbat-e-yar mein aaghaz-e-tarab ki surat

harf-e-nafrat koi shamshir-e-ghazab ho jaise

ta-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaen

itna tarik ki shamshan ki shab ho jaise

lab pe laun to mere honT siyah ho jaen

aaj har sur se har ek rag ka nata TuTa

DhunDti phirti hai mutrib ko phir us ki aawaz

joshish-e-dard se majnun ke gareban ki tarah

chaak-dar-chaak hua aaj har ek parda-e-saz

aaj har mauj-e-hawa se hai sawali KHilqat

la koi naghma koi saut teri umr daraaz

nauha-e-gham hi sahi shor-e-shahadat hi sahi

sur-e-mahshar hi sahi bang-e-qayamat hi sahi

(3543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ek Harf Ko Phir DhunDta Phirta Hai KHayal In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Aaj Ek Harf Ko Phir DhunDta Phirta Hai KHayal is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Aaj Ek Harf Ko Phir DhunDta Phirta Hai KHayal for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Aaj Ek Harf Ko Phir DhunDta Phirta Hai KHayal in PDF.