Bahaar Aai

bahaar aai to jaise yak-bar

lauT aae hain phir adam se

wo KHwab sare shabab sare

jo tere honTon pe mar-miTe the

jo miT ke har bar phir jiye the

nikhar gae hain gulab sare

jo teri yaadon se mushkbu hain

jo tere ushshaq ka lahu hain

ubal paDe hain azab sare

malal-e-ahwal-e-dostan bhi

KHumar-e-aghosh-e-mah-washan bhi

ghubar-e-KHatir ke bab sare

tere hamare

sawal sare jawab sare

bahaar aai to khul gae hain

nae sire se hisab sare

(3503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Aai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Bahaar Aai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Bahaar Aai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Bahaar Aai in PDF.