Dar-e-umid Ke Daryuza-gar

phir phurere ban ke mere tan-badan ki dhajjiyan

shahr ke diwar-o-dar ko rang pahnane lagin

phir kaf-aluda zabanen madh o zam ki qumchiyan

mere zehn o gosh ke zaKHmon pe barsane lagin

phir nikal aae hawasnakon ke raqsan taife

dardmand-e-ishq par ThaTThe lagane ke liye

phir duhal karne lage tashhir-e-iKHlas-o-wafa

kushta-e-sidq-o-safa ka dil jalane ke liye

hum ki hain kab se dar-e-ummid ke daryuza-gar

ye ghaDi guzri to phir dast-e-talab phailaenge

kucha o bazar se phir chun ke reza reza KHwab

hum yunhi pahle ki surat joDne lag jaenge

(1553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-e-umid Ke Daryuza-gar In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Dar-e-umid Ke Daryuza-gar is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Dar-e-umid Ke Daryuza-gar for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Dar-e-umid Ke Daryuza-gar in PDF.