Falastini Bachche Ke Liye Lori

(2)

mat ro bachche

ro ro ke abhi

teri ammi ki aankh lagi hai

mat ro bachche

kuchh hi pahle

tere abba ne

apne gham se ruKHsat li hai

mat ro bachche

tera bhai

apne KHwab ki titli pichhe

dur kahin pardes gaya hai

mat ro bachche

teri baji ka

Dola parae des gaya hai

mat ro bachche

tere aangan mein

murda suraj nahla ke gae hain

chandarma dafna ke gae hain

mat ro bachche

ammi, abba, baji, bhai

chand aur suraj

tu gar roega to ye sab

aur bhi tujh ko rulwaenge

tu muskaega to shayad

sare ek din bhes badal kar

tujh se khelne lauT aaenge

(2737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falastini Bachche Ke Liye Lori In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Falastini Bachche Ke Liye Lori is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Falastini Bachche Ke Liye Lori for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Falastini Bachche Ke Liye Lori in PDF.