Ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar Jae

kahin to karwan-e-dard ki manzil Thahar jae

kinare aa lage umr-e-rawan ya dil Thahar jae

aman kaisi ki mauj-e-KHun abhi sar se nahin guzri

guzar jae to shayad bazu-e-qatil Thahar jae

koi dam baadban-e-kashti-e-sahba ko tah rakkho

zara Thahro ghubar-e-KHatire-mahfil Thahar jae

KHum-e-saqi mein juz zahr-e-halahal kuchh nahin baqi

jo ho mahfil mein is ikram ke qabil Thahar jae

hamari KHamushi bas dil se lab tak ek waqfa hai

ye tufan hai jo pal bhar bar-lab-e-sahil Thahar jae

nigah-e-muntazir kab tak karegi aaina-bandi

kahin to dasht-e-gham mein yar ka mahmil Thahar jae

(2119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar Jae In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar Jae is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar Jae for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar Jae in PDF.