Mori Arj Suno

mori arj suno dast-gir pir

mai ri kahun kase main

apne jiya ki pir

nayya bandho re

bandho re kanar-e-dariya

more mandir ab kyun nahin aae

is surat se

arz sunate

dard batate

nayya khete

minnat karte

rasta takte

kitni sadiyan bit gai hain

ab ja kar ye bhed khula hai

jis ko tum ne arz guzari

jo tha hath pakaDne wala

jis ja lagi naw tumhaari

jis se dukh ka daru manga

tore mandir mein jo nahin aaya

wo to tumhin the

wo to tumhin the

(2041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mori Arj Suno In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Mori Arj Suno is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Mori Arj Suno for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Mori Arj Suno in PDF.