Mulaqat Meri

1

sari diwar siyah ho gai ta-halqa-e-dam

raste bujh gae ruKHsat hue rahgir tamam

apni tanhai se goya hui phir raat meri

ho na ho aaj phir aai hai mulaqat meri

ek hatheli pe hina ek hatheli pe lahu

ek nazar zahr liye ek nazar mein daru

der se manzil-e-dil mein koi aaya na gaya

furqat-e-dard mein be-ab hua taKHta-e-dagh

kis se kahiye ki bhare rang se zaKHmon ke ayagh

aur phir KHud hi chali aai mulaqat meri

aashna maut jo dushman bhi hai gham-KHwar bhi hai

wo jo hum logon ki qatil bhi hai dildar bhi hai

(1877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mulaqat Meri In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Mulaqat Meri is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Mulaqat Meri for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Mulaqat Meri in PDF.