Nisar Main Teri Galiyon Ke

nisar main teri galiyon ke ai watan ki jahan

chali hai rasm ki koi na sar uTha ke chale

jo koi chahne wala tawaf ko nikle

nazar chura ke chale jism o jaan bacha ke chale

hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad

ki sang-o-KHisht muqayyad hain aur sag aazad

bahut hai zulm ke dast-e-bahana-ju ke liye

jo chand ahl-e-junun tere nam-lewa hain

bane hain ahl-e-hawas muddai bhi munsif bhi

kise wakil karen kis se munsifi chahen

magar guzarne walon ke din guzarte hain

tere firaq mein yun subh o sham karte hain

bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samjha hai

ki teri mang sitaron se bhar gai hogi

chamak uThe hain salasil to hum ne jaana hai

ki ab sahar tere ruKH par bikhar gai hogi

gharaz tasawwur-e-sham-o-sahar mein jite hain

giraft-e-saya-e-diwar-o-dar mein jite hain

yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se KHalq

na un ki rasm nai hai na apni rit nai

yunhi hamesha khilae hain hum ne aag mein phul

na un ki haar nai hai na apni jit nai

isi sabab se falak ka gila nahin karte

tere firaq mein hum dil bura nahin karte

gar aaj tujh se juda hain to kal baham honge

ye raat bhar ki judai to koi baat nahin

gar aaj auj pe hai tala-e-raqib to kya

ye chaar din ki KHudai to koi baat nahin

jo tujh se ahd-e-wafa ustuwar rakhte hain

ilaj-e-gardish-e-lail-o-nahaar rakhte hain

(11722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nisar Main Teri Galiyon Ke In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Nisar Main Teri Galiyon Ke is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Nisar Main Teri Galiyon Ke for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Nisar Main Teri Galiyon Ke in PDF.