Shishon Ka Masiha Koi Nahin

moti ho ki shisha jam ki dur

jo TuT gaya so TuT gaya

kab ashkon se juD sakta hai

jo TuT gaya so chhuT gaya

tum nahaq TukDe chun chun kar

daman mein chhupae baiThe ho

shishon ka masiha koi nahin

kya aas lagae baiThe ho

shayad ki inhin TukDon mein kahin

wo saghar-e-dil hai jis mein kabhi

sad-naz se utra karti thi

sahba-e-gham-e-jaanan ki pari

phir duniya walon ne tum se

ye saghar le kar phoD diya

jo mai thi baha di miTTi mein

mehman ka shahpar toD diya

ye rangin reze hain shayad

un shoKH bilorin sapnon ke

tum mast jawani mein jin se

KHalwat ko sajaya karte the

nadari daftar bhuk aur gham

un sapnon se Takraate rahe

be-rahm tha chaumukh pathrao

ye kanch ke Dhanche kya karte

ya shayad in zarron mein kahin

moti hai tumhaari izzat ka

wo jis se tumhaare ijz pe bhi

shamshad-qadon ne rashk kiya

is mal ki dhun mein phirte the

tajir bhi bahut rahzan bhi kai

hai chor-nagar yan muflis ki

gar jaan bachi to aan gai

ye saghar shishe lal-o-gohar

salim hon to qimat pate hain

yun TukDe TukDe hon to faqat

chubhte hain lahu rulwate hain

tum nahaq shishe chun chun kar

daman mein chhupae baiThe ho

shishon ka masiha koi nahin

kya aas lagae baiThe ho

yaadon ke girebanon ke rafu

par dil ki guzar kab hoti hai

ek baKHiya udheDa ek siya

yun umr basar kab hoti hai

is kar-gah-e-hasti mein jahan

ye saghar shishe Dhalte hain

har shai ka badal mil sakta hai

sab daman pur ho sakte hain

jo hath baDhe yawar hai yahan

jo aankh uThe wo baKHtawar

yan dhan-daulat ka ant nahin

hon ghat mein Daku lakh magar

kab luT-jhapaT se hasti ki

dokanen KHali hoti hain

yan parbat-parbat hire hain

yan sagar sagar moti hain

kuchh log hain jo is daulat par

parde laTkate phirte hain

har parbat ko har sagar ko

nilam chaDhate phirte hain

kuchh wo bhi hain jo laD bhiD kar

ye parde noch giraate hain

hasti ke uThai-giron ki

har chaal uljhae jate hain

in donon mein ran paDta hai

nit basti-basti nagar-nagar

har baste ghar ke sine mein

har chalti rah ke mathe par

ye kalak bharte phirte hain

wo jot jagate rahte hain

ye aag lagate phirte hain

wo aag bujhate rahte hain

sab saghar shishe lal-o-gohar

is bazi mein bad jate hain

uTTho sab KHali hathon ko

is ran se bulawe aate hain

(3535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shishon Ka Masiha Koi Nahin In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Shishon Ka Masiha Koi Nahin is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Shishon Ka Masiha Koi Nahin for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Shishon Ka Masiha Koi Nahin in PDF.