Ye Kis Dayar-e-adam Mein

nahin hai yun to nahin hai ki ab nahin paida

kasi ke husn mein shamshir-e-aftab ka husn

nigah jis se milao to aankh dukhne lage

kisi ada mein ada-e-KHiram-e-baad-e-saba

jise KHayal mein lao to dil sulagne lage

nahin hai yun to nahin hai ki ab nahin baqi

jahan mein bazm-gah-e-husn-o-ishq ka mela

bina-e-lutf-o-mohabbat, riwaj-e-mehr-o-wafa

ye kas dayar-e-adam mein muqim hain hum tum

jahan pe muzda-e-didar-e-husn-e-yar to kya

nawed-e-amad-e-roz-e-jaza nahin aati

ye kis KHumar-kade mein nadim hain hum tum

jahan pe shorish-e-rindan-e-mai-gusar to kya

shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati

(2771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Dayar-e-adam Mein In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ye Kis Dayar-e-adam Mein is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ye Kis Dayar-e-adam Mein for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ye Kis Dayar-e-adam Mein in PDF.