Humne Sahra Ko Sajaya Tha Gulistan Ki Tarah

hum ne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah

tum ne gulshan ko banaya hai bayaban ki tarah

raat ka zahar piye KHwab ka aanchal oDhe

kaun hai sath mere gardish-e-dauran ki tarah

DhunDhta phirta hun ab tak bhi hain sahra sahra

usi lamhe ko jo tha fasl-e-bahaaran ki tarah

maslahat-kosh zamane ka bharosa kya hai

jo bhi milta hai yahan gardish-e-dauran ki tarah

aaj wo lamhe mujhe Daste hain tanha pa kar

kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah

jaane kya baat hai kyun jashn-e-masarrat mein nadim

yaad aati hai teri sham-e-ghariban ki tarah

kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaro

aasmanon pe uDo taKHt-e-sulaiman ki tarah

ye to parwanon ke dil hain jo pighal jate hain

kaun jalta hai yahan sham-e-shabistan ki tarah

kaun KHwabon ke jazire se chala aaya 'KHayal'

dil mein ek raushni hai subh-e-daraKHshan ki tarah

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Sahra Ko Sajaya Tha Gulistan Ki Tarah In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Humne Sahra Ko Sajaya Tha Gulistan Ki Tarah is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Humne Sahra Ko Sajaya Tha Gulistan Ki Tarah for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Humne Sahra Ko Sajaya Tha Gulistan Ki Tarah in PDF.