Jab Tak Mizaj-e-dost Mein Kuchh Barhami Rahi

jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

goya bujhi bujhi si meri zindagi rahi

jis par nigah-e-lutf-e-karam aap ki rahi

hairat se har nigah use dekhti rahi

go main raha kashakash-e-dauran se ham-kanar

lekin mere labon pe hansi khelti rahi

laya hai ishq ne mujhe aise maqam par

KHud-agahi rahi na KHuda-agahi rahi

josh-e-junun ne manzil-e-maqsud pa liya

aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi

sab kuchh mujhe 'KHayal' ki duniya mein mil gaya

lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Mizaj-e-dost Mein Kuchh Barhami Rahi In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Jab Tak Mizaj-e-dost Mein Kuchh Barhami Rahi is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Jab Tak Mizaj-e-dost Mein Kuchh Barhami Rahi for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Jab Tak Mizaj-e-dost Mein Kuchh Barhami Rahi in PDF.