Samne Hote The Pahle Jis Qadar Hote The Hum

samne hote the pahle jis qadar hote the hum

jab ye nazzare nahin the tab nazar hote the hum

tab naya miTTi se uTTha tha mohabbat ka KHamir

har kisi kuze mein do ek ghunT bhar hote the hum

jis pari par mar miTe the wo pari-zadi na thi

baad mein jaana ki us ke donon par hote the hum

tab kisi diwar se koi taaruf tha nahin

un dinon ki baat hai jab dar-ba-dar hote the hum

samne aate the jab to DhunDte the kashtiyan

chaar aankhon se bani ek jhil par hote the hum

yun bana dete the jaise sher ho jate hain ab

harf-e-kun ka bhi kabhi dast-e-hunar hote the hum

ek ghaDi aisi bhi aati thi mulaqaton ke bich

tum udhar hote the jis ke aur udhar hote the hum

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samne Hote The Pahle Jis Qadar Hote The Hum In English By Famous Poet Faizan Hashmi. Samne Hote The Pahle Jis Qadar Hote The Hum is written by Faizan Hashmi. Read famous Poem Samne Hote The Pahle Jis Qadar Hote The Hum for youth and Student by Faizan Hashmi. Free Download Samne Hote The Pahle Jis Qadar Hote The Hum in PDF.