Bijli Si Ek Aur Gira Di Zalim Ne

bijli si ek aur gira di zalim ne

zabt ki sari khep jala di zalim ne

pahli se main jaan chhuData phirta tha

aaj nai taswir laga di zalim ne

dil aankhon ke sath hi bahar aaya hai

itni is ki pyas baDha di zalim ne

dupaTTe ka parda bhi nahin rakkha aaj

pabandi ek aur uTha di zalim ne

us ke aage baat bhi karna mushkil hai

honTon par bhi mohr laga di zalim ne

ishq mein aisi choT lagai sine par

ghazlon ki takmil kara di zalim ne

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bijli Si Ek Aur Gira Di Zalim Ne In English By Famous Poet Fakhr Abbas. Bijli Si Ek Aur Gira Di Zalim Ne is written by Fakhr Abbas. Read famous Poem Bijli Si Ek Aur Gira Di Zalim Ne for youth and Student by Fakhr Abbas. Free Download Bijli Si Ek Aur Gira Di Zalim Ne in PDF.