Usne Kiya Hijab Mere Dekhne Ke Baad

us ne kiya hijab mere dekhne ke baad

us ko mila sawab mere dekhne ke baad

surat pe chaar-chand lage the janab ki

ye bhi tha inqalab mere dekhne ke baad

meri nazar se Daliyan chhu kar hari huin

khilne lage gulab mere dekhne ke baad

itna main sher-fahm nahin hun magar yahan

chhapte hain intiKHab mere dekhne ke baad

khulta hi ja raha hai kisi ruKH ke ru-ba-ru

sharm-o-haya ka bab mere dekhne ke baad

pahle nazar uTha ke mujhe dekhte bhi the

lekin ye ijtinab mere dekhne ke baad

meri nazar mein dosto shiddat bala ki thi

TuTa paDa tha KHwab mere dekhne ke baad

(985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Kiya Hijab Mere Dekhne Ke Baad In English By Famous Poet Fakhr Abbas. Usne Kiya Hijab Mere Dekhne Ke Baad is written by Fakhr Abbas. Read famous Poem Usne Kiya Hijab Mere Dekhne Ke Baad for youth and Student by Fakhr Abbas. Free Download Usne Kiya Hijab Mere Dekhne Ke Baad in PDF.