Bahaduri Jo Nahin Hai To Buzdili Bhi Nahin

bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin

bahut hi chaha magar hum se KHud-kushi na hui

kuchh is tarah se KHayalon ne raushni baKHshi

tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui

kisi ke dard ko tum jaante bhala kyunkar

KHud apne dard se jab tum ko aagahi na hui

wo tirgi thi musallat faza-e-alam par

lahu ke dip jale phir bhi raushni na hui

main ji raha hun dil-e-murda le ke sine mein

ise to maut kaho ye to zindagi na hui

(1242) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaduri Jo Nahin Hai To Buzdili Bhi Nahin In English By Famous Poet Fakhr Zaman. Bahaduri Jo Nahin Hai To Buzdili Bhi Nahin is written by Fakhr Zaman. Read famous Poem Bahaduri Jo Nahin Hai To Buzdili Bhi Nahin for youth and Student by Fakhr Zaman. Free Download Bahaduri Jo Nahin Hai To Buzdili Bhi Nahin in PDF.