Kuchh Baat Nahin Jism Agar Mera Jala Hai

kuchh baat nahin jism agar mera jala hai

sad-shukr ki us bazm se shoala to uTha hai

mana ki mere lawn ki phir sabz hui ghas

is meinh mein paDosi ka makan bhi to gira hai

sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati

suraj hai ki muddat se mere sar par khaDa hai

har samt KHamoshi hai magar kahte hain kuchh log

is shahr mein ek shor qayamat ka bapa hai

diwar se go inT khisak kar paDi sar par

sad-shukr ki rauzan koi zindan mein khula hai

ab dekhiye kis rah mein diwar banega

Dhalwan pe ek sang-e-giran chal to paDa hai

is sal mere khet mein ole bhi paDe hain

is sal meri fasl ko kiDa bhi laga hai

aankhen meri raushan rahen KHush-haal rahun main

ek andhi bhikaran ki mere haq mein dua hai

main bhuk se behaal hun to ser-shikam hai

kya mera KHuda wo nahin jo tera KHuda hai

(938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Baat Nahin Jism Agar Mera Jala Hai In English By Famous Poet Fakhr Zaman. Kuchh Baat Nahin Jism Agar Mera Jala Hai is written by Fakhr Zaman. Read famous Poem Kuchh Baat Nahin Jism Agar Mera Jala Hai for youth and Student by Fakhr Zaman. Free Download Kuchh Baat Nahin Jism Agar Mera Jala Hai in PDF.