Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz

apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz

kucha-e-yar mein chal dekh le jannat meri

sari duniya se anokhi hai zamane se juda

nemat-e-KHas hai allah re qismat meri

shikwa-e-hijr pe sar kaT ke farmate hain

phir karoge kabhi is munh se shikayat meri

teri qudrat ka nazara hai mera ijz gunah

teri rahmat ka ishaara hai nidamat meri

lo tabassum bhi sharik-e-nigah-e-naz hua

aaj kuchh aur baDha di gai qimat meri

faiz yak lamha-e-didar salamat 'fani'

gham ki har roz hai baDhti hui daulat meri

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz In English By Famous Poet Fani Badayuni. Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz in PDF.