Be-KHudi Pe Tha Fani Kuchh Na IKHtiyar Apna

be-KHudi pe tha 'fani' kuchh na iKHtiyar apna

umr bhar kiya nahaq hum ne intizar apna

tab-e-zabt-e-gham ne bhi de diya jawab aaKHir

un ke dil se uThta hai aaj e'tibar apna

ishq zindagi Thahra lekin ab ye mushkil hai

zindagi se hota hai ahd ustuwar apna

shikwa barmala karte KHair ye to kya karte

han magar jo ban paDta shikwa ek bar apna

gham hi ji ka dushman tha gham se dur rahte the

gham hi rah gaya aaKHir ek gham-gusar apna

le gaya chaman ko bhi mausam-e-bahaar aa kar

ab qafas ka gosha hai hasil-e-bahaar apna

jhuT hi sahi wada kyun yaqin na kar lete

baat dil-fareb un ki dil umid-war apna

inqilab-e-alam mein warna der hi kya thi

un ke aastan tak tha KHair se ghubar apna

dil hai muztarib 'fani' aankh mahw-e-hairat hai

dil ne de diya shayad aankh ko qarar apna

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHudi Pe Tha Fani Kuchh Na IKHtiyar Apna In English By Famous Poet Fani Badayuni. Be-KHudi Pe Tha Fani Kuchh Na IKHtiyar Apna is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Be-KHudi Pe Tha Fani Kuchh Na IKHtiyar Apna for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Be-KHudi Pe Tha Fani Kuchh Na IKHtiyar Apna in PDF.