Bijliyan TuT PaDin Jab Wo Muqabil Se UTha

bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha

mil ke palTi thin nigahen ki dhuan dil se uTha

jalwa mahsus sahi aankh ko aazad to kar

qaid-e-adab-e-tamasha bhi to mahfil se uTha

phir to mizrab-e-junun saz-e-ana-laila chheD

hae wo shor-e-anal-qais ki mahmil se uTha

iKHtiyar ek ada thi meri majburi ki

lutf-e-sai-e-amal is matlab-e-hasil se uTha

umr-e-ummid ke do din bhi giran the zalim

bar-e-farda na tere wada-e-baatil se uTha

KHabar-e-qafila-e-gum-shuda kis se puchhun

ek bagula bhi na KHak-e-rah-e-manzil se uTha

hosh jab tak hai gala ghonT ke mar jaane ka

dam-e-shamshir ka ehsan tere bismil se uTha

maut hasti pe wo tohmat thi ki aasan na uThi

zindagi mujh pe wo ilzam ki mushkil se uTha

kis ki kashti tah-e-girdab-e-fana ja pahunchi

shor-e-labbaik jo 'fani' lab-e-sahil se uTha

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bijliyan TuT PaDin Jab Wo Muqabil Se UTha In English By Famous Poet Fani Badayuni. Bijliyan TuT PaDin Jab Wo Muqabil Se UTha is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Bijliyan TuT PaDin Jab Wo Muqabil Se UTha for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Bijliyan TuT PaDin Jab Wo Muqabil Se UTha in PDF.