Duniya-e-husn-o-ishq Mein Kis Ka Zuhur Tha

duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha

har aankh barq-pash thi har zarra tur tha

meri nazar ki aaD mein un ka zuhur tha

allah un ke nur ka parda bhi nur tha

thi har taDap sukun ki duniya liye hue

pahlu mein aap the ki dil-e-na-subur tha

hum kushtagan-e-gham pe ye ilzam-e-zindagi

be-mehr kuchh to pas-e-haqiqat zarur tha

baalin pe tum jab aae to aai wo maut bhi

jis maut ke liye mujhe jina zarur tha

thi un ke ru-ba-ru bhi wahi shan-e-iztirab

dil ko bhi apni waza pe kitna ghurur tha

lutf-e-hayat be-KHalish-e-muddaa kahan

yani ba-qadr-e-talKHi-e-sahba surur tha

uTh kar chale to hashr bhi uThna tha kya zarur

un ki gali se madfan-e-'fani' to dur tha

(976) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya-e-husn-o-ishq Mein Kis Ka Zuhur Tha In English By Famous Poet Fani Badayuni. Duniya-e-husn-o-ishq Mein Kis Ka Zuhur Tha is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Duniya-e-husn-o-ishq Mein Kis Ka Zuhur Tha for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Duniya-e-husn-o-ishq Mein Kis Ka Zuhur Tha in PDF.