Guzar Gaya Intizar Had Se Ye Wada-e-na-tamam Kab Tak

guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak

na marne degi mujhe sitamgar teri tamanna-e-KHam kab tak

ajal mera itna kaam kar de ki kaam mera tamam kar de

rahe koi zindagi ke hathon jahan mein ruswa-e-am kab tak

wo aae ya wade par na aae bala se qismat jo kuchh dikha de

magar hamein dekhna to ye hai ki aaj hoti hai sham kab tak

ye bahas o takrar chhoD de aa ye zohd ka ahd toD de

rahegi ai muddai-e-hurmat sharab-e-duniya haram kab tak

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gaya Intizar Had Se Ye Wada-e-na-tamam Kab Tak In English By Famous Poet Fani Badayuni. Guzar Gaya Intizar Had Se Ye Wada-e-na-tamam Kab Tak is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Guzar Gaya Intizar Had Se Ye Wada-e-na-tamam Kab Tak for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Guzar Gaya Intizar Had Se Ye Wada-e-na-tamam Kab Tak in PDF.