Hum Maut Bhi Aae To Masrur Nahin Hote

hum maut bhi aae to masrur nahin hote

majbur-e-gham itne bhi majbur nahin hote

dil hi mein nahin rahte aankhon mein bhi rahte ho

tum dur bhi rahte ho to dur nahin hote

paDti hain abhi dil par sharmai hui nazren

jo war wo karte hain bharpur nahin hote

ummid ke wadon se ji kuchh to bahalta tha

ab ye bhi tere gham ko manzur nahin hote

arbab-e-mohabbat par tum zulm ke bani ho

ye warna mohabbat ke dastur nahin hote

kaunain pe bhaari hai allah re ghurur un ka

itne bhi ada wale maghrur nahin hote

hai ishq tera 'fani' tashhir bhi shohrat bhi

ruswa-e-mohabbat yun mashhur nahin hote

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Maut Bhi Aae To Masrur Nahin Hote In English By Famous Poet Fani Badayuni. Hum Maut Bhi Aae To Masrur Nahin Hote is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Hum Maut Bhi Aae To Masrur Nahin Hote for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Hum Maut Bhi Aae To Masrur Nahin Hote in PDF.