KHalq Kahti Hai Jise Dil Tere Diwane Ka

KHalq kahti hai jise dil tere diwane ka

ek gosha hai ye duniya isi virane ka

ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka

zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka

husn hai zat meri ishq sifat hai meri

hun to main shama magar bhes hai parwane ka

kabe ko dil ki ziyarat ke liye jata hun

aastana hai haram mere sanam-KHane ka

muKHtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hun

raaz-e-kaunain KHulasa hai is afsane ka

zindagi bhi to pasheman hai yahan la ke mujhe

DhunDti hai koi hila mere mar jaane ka

tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang

aao dekho na tamasha mere gham-KHane ka

ab ise dar pe le ja ke sula de saqi

yun bahakna nahin achchha tere mastane ka

dil se pahunchi to hain aankhon mein lahu ki bunden

silsila shishe se milta to hai paimane ka

haDDiyan hain kai lipTi hui zanjiron mein

liye jate hain janaza tere diwane ka

wahdat-e-husn ke jalwon ki ye kasrat ai ishq

dil ke har zarre mein aalam hai pari-KHane ka

chashm-e-saqi asar-e-mai se nahin hai gul-rang

dil mere KHun se labrez hai paimane ka

lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain

kun hai andaz-e-raqam husn ke afsane ka

hum ne chhani hain bahut dair o haram ki galiyan

kahin paya na Thikana tere diwane ka

kis ki aankhen dam-e-aKHir mujhe yaad aai hain

dil muraqqa hai chhalakte hue paimane ka

kahte hain kya hi maze ka hai fasana 'fani'

aap ki jaan se dur aap ke mar jaane ka

har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'

zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka

(1498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHalq Kahti Hai Jise Dil Tere Diwane Ka In English By Famous Poet Fani Badayuni. KHalq Kahti Hai Jise Dil Tere Diwane Ka is written by Fani Badayuni. Read famous Poem KHalq Kahti Hai Jise Dil Tere Diwane Ka for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download KHalq Kahti Hai Jise Dil Tere Diwane Ka in PDF.