Mujhko Mere Nasib Ne Roz-e-azal Se Kya Diya

mujh ko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya

daulat-e-do-jahan na di ek dil-e-mubtala diya

dil hi nigah-e-naz ka ek ada-shanas tha

jalwa-e-barq-e-tur ne tur ko kyun jala diya

qabr mein jab kisi tarah dil ki taDap na kam hui

yaad-e-KHiram-e-naz ne hashr ka aasra diya

roz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban paDa

hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya

ab meri lash par huzur maut ko koste to hain

aap ko ye bhi hosh hai kis ne kise miTa diya

dil mein sama ke phir gai aas bandha ke phir gai

aaj nigah-e-dost ne kaba bana ke Dha diya

uf ki gunahgar hum hain to magar KHata muaf

aaTh pahar ke dard ne dil hi to hai dukha diya

aap hum apni aag mein ai gham-e-ishq jal bujhe

aag lage is aag ko phunk diya jala diya

yun na kisi tarah kaTi jab meri zindagi ki raat

chheD ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya

girya-e-atshin ki dad de shab-e-gham to kaun de

KHud sar-e-sham kya bujhi shama ne dil bujha diya

yas ne dard hi nahin haq to ye hai dawa bhi di

'fani'-e-na-umid ko maut ka aasra diya

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Mere Nasib Ne Roz-e-azal Se Kya Diya In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mujhko Mere Nasib Ne Roz-e-azal Se Kya Diya is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mujhko Mere Nasib Ne Roz-e-azal Se Kya Diya for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mujhko Mere Nasib Ne Roz-e-azal Se Kya Diya in PDF.