PhaTi Mashken Liye Din-raat Dariya Dekhne Wale

phaTi mashken liye din-raat dariya dekhne wale

bayaban ban gae pani ziyaada dekhne wale

yahan koi musalsal dekhne wala nahin tujh ko

hamare sath chal hum hain hamesha dekhne wale

tumhaare husn se insaf karne ka taqaza hai

tumhein dekhen ziyaada se ziyaada dekhne wale

imarat ishq ki tanha khaDi hogi kahan tum se

hamein bhi sath rakkho hum hain naqsha dekhne wale

hamare samne tarif karta kaun kufe ki

sabhi ko ilm tha hum hain madina dekhne wale

bichhaDte waqt muD kar is liye dekha nahin main ne

kai manzar nahin hote dobara dekhne wale

kisi ne ma-siwa-e-KHak dil se kuchh nahin paya

bahut se log aae ye ilaqa dekhne wale

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PhaTi Mashken Liye Din-raat Dariya Dekhne Wale In English By Famous Poet Faqeeh Haidar. PhaTi Mashken Liye Din-raat Dariya Dekhne Wale is written by Faqeeh Haidar. Read famous Poem PhaTi Mashken Liye Din-raat Dariya Dekhne Wale for youth and Student by Faqeeh Haidar. Free Download PhaTi Mashken Liye Din-raat Dariya Dekhne Wale in PDF.