Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui

kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui

tere huzur rasai kahan kahan se hui

falak na mah-e-munawwar na kahkashan se hui

khuli jab aankh mulaqat KHak-dan se hui

na falsafi na mufakkir na nukta-dan se hui

ada jo baat hamesha teri zaban se hui

khuli na mujh pe bhi diwangi meri barson

mere junun ki shohrat tere bayan se hui

jo tere nam se mansub mera nam hua

to shahr bhar ko adawat bhi meri jaan se hui

suna ke sab ko akela hi ro raha tha main

kisi ki aankh na tar meri dastan se hui

jinhen tha Dubna un ko bhi de diya rasta

kabhi kabhi ye KHata bahr-e-be-karan se hui

'faragh' hath se kya daman-e-KHirad chhuTa

ki sar pe sang ki barish jahan-tahan se hui

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui in PDF.