Bhale Bujhane Ki Zid Pe Hawa UDi Hui Hai

bhale bujhane ki zid pe hawa uDi hui hai

magar charagh ki lau aur bhi baDhi hui hai

main sochta hun use sar pe rakh liya jae

zamin kab se mere panw mein paDi hui hai

tumhaare lahje ki luknat bata rahi hai mujhe

ki tum ne KHud se hi ye dastan gaDhi hui hai

koi batae ghazala ko main shikari hun

wo be-takan meri rah mein khaDi hui hai

ye rang rang libason mein kuchh nahin hai 'faraaz'

ki sab ki asal qaba KHak se juDi hui hai

(1095) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhale Bujhane Ki Zid Pe Hawa UDi Hui Hai In English By Famous Poet Faraz Mahmood Fariz. Bhale Bujhane Ki Zid Pe Hawa UDi Hui Hai is written by Faraz Mahmood Fariz. Read famous Poem Bhale Bujhane Ki Zid Pe Hawa UDi Hui Hai for youth and Student by Faraz Mahmood Fariz. Free Download Bhale Bujhane Ki Zid Pe Hawa UDi Hui Hai in PDF.