Jala Ke Daman-e-hasti Ka Tar Tar UTha

jala ke daman-e-hasti ka tar tar uTha

kabhi jo nala-e-gham dil se shoala-bar uTha

KHyal-o-fikr-o-tamanna ka KHun chhup na saka

zaban KHamosh thi lekin lahu pukar uTha

falak pe jab bhi haqaeq ki surKHiyan ubhrin

zamin se kohna riwayat ka ghubar uTha

rawan-dawan hai rag-e-sang mein lahu ki tarah

wo zindagi ka talatum jo bar bar uTha

rah-e-hayat mein jab Dagmagae mere qadam

mera hi naqsh-e-kaf-e-pa mujhe pukar uTha

fareb-e-wada-e-farda ka zikr kya kije

wo mo'atabar hi the kab jin ka e'tibar uTha

'farid' ahl-e-gulistan bhi hosh kho baiThe

kuchh is ada se hijab-e-ruKH-e-bahaar uTha

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jala Ke Daman-e-hasti Ka Tar Tar UTha In English By Famous Poet Fareed Ishrati. Jala Ke Daman-e-hasti Ka Tar Tar UTha is written by Fareed Ishrati. Read famous Poem Jala Ke Daman-e-hasti Ka Tar Tar UTha for youth and Student by Fareed Ishrati. Free Download Jala Ke Daman-e-hasti Ka Tar Tar UTha in PDF.