Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage

shishe ke nazuk bartan mein

sabun ghol rahi hai nannhi guDiya

narkul ki nazuk phukni se

phunk rahi hai ghubbare

har ghubbara ek KHwab sa ban kar

tair raha hai kamre mein

kamre ki diwaron se

Takra Takra kar TuT raha hai

main KHamosh apne kamre mein

ye khel-tamasha dekh raha hun

us ke nazuk honTon ki

nazuk si shararat dekh raha hun

ye dekh raha hun hasti apni

do-chaar nafas ki hasti hai

main bhi ek shishe ki diwar hun

jis ke pichhe baiThe ab tak

nanhe-munne bachche khel rahe hain

kankar patthar phenk rahe hain

shishe ke nazuk bartan mein

sabun ghol rahi hai nannhi guDiya

narkul ki nazuk phukni se

phunk rahi hai ghubbare

har ghubbara ek KHwab sa ban kar

tair raha hai kamre mein

kamre ki diwaron se

Takra Takra kar TuT raha hai

(698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage In English By Famous Poet Fareed Ishrati. Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage is written by Fareed Ishrati. Read famous Poem Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage for youth and Student by Fareed Ishrati. Free Download Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage in PDF.